1 Poetry 1



      "(Ghazal)"
"Aankh Se Lahu Na Bahaaya Kar,

"Ay Dil Usay Kabhi To Bhool Jaya
Kar,

"Dekhna Wo Ek Din Tujhy Chorr Jaay
ga,

"Na Tu Usay itna Sataaya Kar,


"itna Aetbaar Bhi Acha Nahi Hota,


"Usay Har Ek Baat Na Bataya Kar,


"Shiddat-E-Gham Se Seena Phatt Jaay ga,

"Aankh Se Kuch Aansu Bahaya
Kar,

"Us Jesa Tujhy
Kahin Mil Nahi
Sakta,

"Hazaar Baar Roothy Hazaar Baar Manaya Kar.





Aaj saqi sharab Rehnay do,

Tanhai ka Azab Rehnay do,

Tum Sanwaro in Apni Zulfon ko,

Meri Halat kharab Rehny do,

Chand Badal Me Acha lagta hay,

Aadhy Rukh pe Naqab Rhny do,

Unke chehray ki baat ho jaye,

Aaj Zikr-e-Gulab Rhny do,

Unki chokhat ko choom lu

Baqi saray Sawab Rehnay Do.....!





Tum kya jaano kya hoti hai tanhai

Tutte huwe patton se poocho kya hoti hai judai

Yun bewafai ka ilzaam na do 
  "Jano"

Is waqt se pucho kab yaad teri na aayi






1 Poetry 1 1 Poetry 1 Reviewed by Unknown on March 13, 2018 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.